Pahli baar jab match fixing ka mamla Cricket News me jb year 2000 me Prakash me aaya tb bhi jyadatar Player se sampark me rhne wale Indian hi the .
International Cricket Council yani ICC aaj kal Sri Lanka Cricket Board me lge Bharstachar ki Jaach me lga hai . Iski Bharstachar me lge ek ICC ki Adhikari ka kahna Hai ki iss Tarah ke Bharast Gatividhiyo me Jyadatar Indian Sattebaaj hai .
Cricket News Report ke anusaar iss week me Sri Lanka Cricket ke Ex Captain Sanath Jaisurya par ICC ki Bharsatachar Rodhi
Sanhita ka Ulanghan krne ka aarop(Blame) lga hai , Jaisurya par Cricket match fixing ka aarop (Blame) nhi lga hai But
Unhe Inquiry officer ka Help nhi dene se Doshi(Guilty) paya gya hai . Kuch Din Phle Hi ICC ki Anti Corruption Unit ne Sri Lanka
or England ke Cricketers se samprk me rhne wale Bharst Logo ke bare me Information Share ki thi .
Puchne pr ki kya Sattebaaj Local hai to ICC ki Anti Corruption Unit ke General Manager Alex Marshal ne kha ki Sri Lanka me
Local or Indian Sattebaaj Dono The But World me Sabse Jaydatar Hisso me Sabse Jyada Sattebaaj Indian hai .
Alex Marshal ne yeh Khulasa Surprised nhi Hai Kyo Ki Pakistan Cricket Team ke Ex Spin Bowler Danish Kaneriya ne Khud pr
Lge Spot-Fixing ke Blame ko Accept Kar bola tha ki Unhone Cricket Match Fixing me Indian Sattebaaj Anu Bhatt se Paise Liye The.
Iss Aarop me Danish ke Sath Essex Team ke Ex Player Marvin Westfield bhi Shamil The . Report ke Anusaar Westfield ne year 2009 me Durham me 40 Over ki Ek County Match me Apne Phle Over me 12 Run Dene Ke Liye Indian Sattebaaj Anu Bhatt se 7862 Doller liye The . Danish Bhatt Indain hai Jinpar Cricket Baiting ki aarop ICC lga chuki Hai.